Darood e taj naat lyrics
lyrics of Durood e Taj.
Sahibe taaj wo, Shah e meraaj wo
Sheh saware burako ameen e alam,
Dafaa e har bala Dafaye har maba,
Dafaye kehto-am, raazo ranjo alam
Sahibe taaj wo, shah e meraaj wo
Ism likha gaya ism ooncha hua
Ism mohr e kabool e shafaat bhi hai
Ism ki barkatein, ism ki ronakein Ism loho kalam ki imanat hai
Kya arab kya ajam Sab k sardar hain
Sab k sardar ka hai muqadas badan
Harm kaba ko wo jo munawar kare
Wo mehekti wo pakeeza si ik kiran
Chaast gahon ka sooraj wujood apka
Ap har shak ki zulmat k mahtaab hain
Sad re bazm e bulandi o rafa'at k hain
Rah guzare hidayet k mahtaab hain
Sari makhlook ki hain wo jaye amaan
Sari taareekiyo k wo roshan charaagh
Naik zeenat hain wo naik atwar hain
Unke hatho me hai bakhshishon k aya
Sar se pairon talak wo karam hi karam
Rab hifazat kare bil yakeen ap ki
Unke khidmat guzaron me jibreel hain Or sawari burake haseen ap ki
Safar unka hai meraaj or sidra
Tul muntaha mustaqar or makaam unka hai
Kaaba kosain ka martaba unka matloob hai Or dar-u-sallam unka hai
Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo.
Or matloob hi unka maqsood hai Or maqsood hi unka mojood hai
Ap saare rasoolon k sardar hain
Ap ka sirf ALLAH mabood hai
Baad me sare nabiyon k aye hain wo
Bakshwayein ge har ik gunnah gar ko
Har musafir ki krte hain gham khawariyan
Rehmatein bantttein hain wo sansaar ko Sahibe taaj wo, shahe meraaj wo.
Aashiqon k dilon ki wo taskeen hain
Or muradein har ik sahibe shok ki
Haq shanason ki khursheedo khaawar hain wo
Saal ki ne rhe ishq ki roshini
Pyar mohtaaj o muflis se miskeen se
Har mukarib ki wo rehnumai karein
Jinno insan k sardar dono haram
Dono kiblon ki wo paishwayi karein
Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo.
Duniya or aakhrat ka waseela hain wo
Rutba e kaba kosain jinko mila
Dono hi mashrikon magribo ka wo rab
Haasil unko khiatab uske mehboob ka
Jadd-e-amjad hain Hasnain k or har
Jinno insaan k aaqa o maula hain wo
Baap Kasim k baite hain Abdullah k
Or noor e ilahi ka hissa hain wo
Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo x2
Aey fidayaane noore jamale Nabi
Ap par aalo as-haab par subho shaam
Jese haq bhi jinhi ka hai bhaijo bassad
Ehtraam o mohabbat durood o sallam
Sahibe taaj wo, shaahe meraaj wo x2
Sheh saware burhako ameer e alam, dafaye har bala
Dafaye har maba, dafaye kehto-am, raazo ranjo alam
Sahibe taaj wo, shah e meraaj wo.